Khamoshi-文本歌词

Khamoshi-文本歌词

发行日期:

mann ki ye lehrein aake sahil ko dubati hain

meri hi nazrein mujhe aaina dikhati hain

sab mujhse puchhe ab tu karta kyun ni baatein

meri khamoshi meri baatein batati hai

mann ki ye lehrein aake sahil ko dubati hain

meri hi nazrein mujhe aaina dikhati hain

sab mujhse puchhe ab tu karta kyun ni baatein

meri khamoshi meri baatein batati hai

aankhein churata hoon baitha sir jhukaye

raataon mein khwabon ke carvan sajaye

meri bechaini mere alfazon se puchho

mere alfaz mere dil ka haal sunaye

aaya chhudane main sirat pe lage daag saare

krna hai saabit jhuthe lage ilzam saare

agar main hara toh wo hogi khata meri yara

agar main jeeta toh rakh lena tum inaam saare

meri khamoshi koi kamjori nai taqat meri

kala ki puja ab kala se hifazat meri

kamre mein rehta kaid karta hoon khudpe kaam

tabhi khayalon ko udne ki izazat meri

mann ki ye lehrein aake sahil ko dubati hain

meri hi nazrein mujhe aaina dikhati hain

sab mujhse puchhe ab tu karta kyun ni baatein

meri khamoshi meri baatein batati hai

mann ki ye lehrein aake sahil ko dubati hain

meri hi nazrein mujhe aaina dikhati hain

sab mujhse puchhe ab tu karta kyun ni baatein

meri khamoshi meri baatein batati hai

bante the khas liye baithe the jehrile daant

jab thi zarurat unki nahi dikhe wo sath

toota tha aise khud khada bhi na ho pata main

jisne sambhala use rakhta hoon ab dil ke paas

mere 2 bhai unke gaano se sikhta hoon

bhaiyon ki jeet mein main bhi zara sa jeet'ta hoon

tumhe hoti hai hairat kaise kar leta hai shore

syaahi ki boondon se kagazon ko seenchta hoon

baitha main sochta hoon wo bhi kya baat hogi

saansein rahengi sath par kala na sath hogi

jis din is shore ne chhod diya kala ka hath

wo din wo raat meri aakhiri raat hogi