Intro
Tadpa hoon aese , tujhe yaad karke
Samajhle bacha hoon , main marte marte
Asar ab kisi gam , ka hota nahi hai
Hajar dil hua tera , gam sahte sahte
Chorus
Furqat ka gam na , mile ab kisi ko
Ye dil mera rokar , karta dua hai
Lage jism par zhakm, marham lagaloun
Magar darde dil ki , bani na dawa hai
Ye dil mera rokar, karta dua hai
Ye dil mera rokar, karta dua hai
Verse 1
Kya kya hai chhoda tere liye maine
Poochh le aakar dil se mere
Door hua hoon khud se bhi main
Arsaa hua doston se mile
Intzaar karta hoon main
Aayegi kab wo ghadi
Pre-chorus
Aati nahi tu lekin har ek din
Khusboo teri leke aati hawaa hai
Chorus
Furqat ka gam na , mile ab kisi ko
Ye dil mera rokar , karta dua hai
Lage jism par zhakm, marham lagaloun
Magar darde dil ki , bani na dawa hai
Ye dil mera rokar, karta dua hai
Ye dil mera rokar, karta dua hai
Verse 2
Lagata hoon man kaam mein
Taaki yaad na aaye teri
Par majboor hoon dil ke haantho
Dil se ek pal bhi tu na gayee
Lautkar aana hai ya nahi
Leke aaja tu ye khabar
Toot ta hai har ek roz hi
Gam tera mujhpe banke kahar
Pre-chorus
Saaf deta hai , mujhko sunaai
Tujhko deta ye dil , jab sadaa hai
Chorus
Furqat ka gam na , mile ab kisi ko
Ye dil mera rokar , karta dua hai
Lage jism par zhakm, marham lagaloun
Magar darde dil ki , bani na dawa hai
Ye dil mera rokar, karta dua hai
Ye dil mera rokar, karta dua hai